mil gae par hijab baqi hai
fikr-e-naz-o-itab baqi hai
baat sab Thik-Thak hai pa abhi
kuchh sawal-o-jawab baqi hai
garche majun kha chuke lekin
daur-e-jam-e-sharab baqi hai
jhuTe wade se un ke yan ab tak
shikwa-e-be-hisab baqi hai
gah kahte hain sham hui abhi
zarra-e-aftab baqi hai
phir kabhi ye ki abr mein kuchh-kuchh
partaw-e-mahtab baqi hai
hai kabhi ye ki tujh pe chhiDkenge
jo lagan mein shahab baqi hai
aur bhaDke hai ishtiyaq ki aag
ab kise sabr-o-tab baqi hai
uD gai nind aankh se kis ki
lazzat-e-KHurd-o-KHwab baqi hai
hai KHushi sab tarah ki, nahaq ka
KHatra-e-inqalab baqi hai
hai wo dil ki dhaDak so jun ki tun
ji par us ka azab baqi hai
jo bhara shisha tha hua KHali
par wo bu-e-gulab baqi hai
apni ummid thi so bar aai
yas shakl-e-sarab baqi hai
hai yahi Dol jab tak aankhon mein
dam basan-e-habab baqi hai
misl-e-farmuda-e-huzur 'insha'
phir wahi iztirab baqi hai

Ghazal
Mil gae par hijab baqi hai
Insha Allah Khan u0027Inshau0027