mil chuka mahfil mein ab lutf-e-shakebai mujhe
khinchti hai apni jaanib teri angDai mujhe
baad marne ke jo hasil hogi ruswai mujhe
zindagi kya soch kar duniya mein tu lai mujhe
ishq mein yun husn ki surat nazar aai mujhe
wo tamasha ban gae kah kar tamashai mujhe
KHud pukar uThta junun takmil-e-wahshat ho gai
wo samajh lete jo dil mein apna saudai mujhe
ho gaya kohram barpa KHana-e-sayyaad mein
baiThe baiThe aashiyan ki yaad jab aai mujhe
kal tha main kabe mein maujud aaj but-KHane mein hun
chain deta hi nahin shauq jabin-sai mujhe
aaina bhi tha koi kya zindagi ka aaina
dekhne par maut ki surat nazar aai mujhe
zindagi ki kashmakash se dast-kash hona paDa
naza mein yaad aa gai jab un ki angDai mujhe
khul gai chashm-e-basirat KHak mein milne ke baad
dil ke har zarre mein ek duniya nazar aai mujhe
hazrat-e-'bismil' ye achchhi dil ko sujhi dil-lagi
kar diya shamshir-e-qatil ka tamannai mujhe
Ghazal
Mil chuka mahfil mein ab lutf-e-shakebai mujhe
Bismil Allahabadi