اردو हिंदी
Mil bhi jate hain to katra ke nikal jate hain | Shaahi Shayari
mil bhi jate hain to katra ke nikal jate hain

Ghazal

Mil bhi jate hain to katra ke nikal jate hain

Wali Aasi

;

mil bhi jate hain to katra ke nikal jate hain
hae mausam ki tarah dost badal jate hain

hum abhi tak hain giraftar-e-mohabbat yaro
Thokaren kha ke suna tha ki sambhal jate hain

wo kabhi apni jafa par na hua sharminda
hum samajhte rahe patthar bhi pighal jate hain

umr-bhar jin ki wafaon pe bharosa kije
waqt paDne pe wahi log badal jate hain

is taghaful pe ye aalam ki har ek mahfil se
wo bhi gate hue 'wali' ki ghazal jate hain