miras-e-be-baha bhi bachai na ja saki
ek zillat-e-wafa thi uThai na ja saki
wadon ki raat aisi ghani thi siyah thi
qindil-e-e'tibar bujhai na ja saki
chaha tha tum pe warenge lafzon ki kaenat
ye daulat-e-suKHan bhi kamai na ja saki
wo sahar tha ki rang bhi be-rang the tamam
taswir-e-yar hum se banai na ja saki
hum madrasan-e-ishq ke wo honhaar tifl
hum se kitab-e-aql uThai na ja saki
wo tharthari thi jaan-e-suKHan tere ru-ba-ru
tujh par kahi ghazal bhi sunai na ja saki
Ghazal
Miras-e-be-baha bhi bachai na ja saki
Amir Hamza Saqib