'mir'-o-'ghaalib' ki tarah sehr-bayan se nikle
sher aisa bhi koi dil se zaban se nikle
ashk se bhige hue main mere alfaz-e-ghazal
aag se koi lapak jaise dhuan se nikle
koi sailab bhi roke se nahin rukta hai
rasta tha hi nahin phir bhi wahan se nikle
Ghazal
Mir-o-ghaalib ki tarah sehr-bayan se nikle
Shahab Akhtar