'mir' ki sadgi bayan mein rakh
'dagh' ki dil-kashi zaban mein rakh
dusron ko bhi raushni pahunche
yun diya ghar ke darmiyan mein rakh
amn aur sulh-o-ashti kya hai
ye sawalat imtihan mein rakh
apne purkhon ke karnamon ke
kuchh hawale bhi dastan mein rakh
nekiyan ab na Dal dariya mein
hum faqiron ki baat dhyan mein rakh
dhup hi ab tujhe jagaegi
koi khiDki khuli makan mein rakh

Ghazal
Mir ki sadgi bayan mein rakh
Rahmat Amrohvi