اردو हिंदी
Mir ka soz-e-bayan ho to ghazal hoti hai | Shaahi Shayari
mir ka soz-e-bayan ho to ghazal hoti hai

Ghazal

Mir ka soz-e-bayan ho to ghazal hoti hai

Shiv Dayal Sahab

;

'mir' ka soz-e-bayan ho to ghazal hoti hai
'dagh' ka lutf-e-zaban ho to ghazal hoti hai

dil to roe magar aankhon mein tabassum jhalke
ye agar rang-e-fughan ho to ghazal hoti hai

dost ki yaad mein jazbaat pe aata hai nikhaar
hijr ki raat jawan ho to ghazal hoti hai

yak nafas-soz se mumkin nahin takmil-e-ghazal
har-nafas shoala-ba-jaan ho to ghazal hoti hai

han uchaTti si nazar bhi hai koi chiz magar
yahi nashtar rag-e-jaan ho to ghazal hoti hai

sadiq-ul-ishq hi ye nukta samajhte hain 'sahab'
husn dil ka nigaran ho to ghazal hoti hai