minaron se upar nikla diwaron se par hua
hadd-e-falak chhune ki dhun mein ek zarra kohsar hua
chashm-e-basirat rah ki mishal azm-e-jawan patwar hua
sahil sahil jashn-e-tarab hai ek musafir par hua
dil ke jazbe samne aae KHushbu KHwab dhuan ban kar
jitni dilkash soch thi us ki waisa hi izhaar hua
ubhre ehsasat ke suraj yaadon ke mahtab khule
ghazlon ka diwan suhane mausam ka aKHbar hua
jangal parbat nadiyan jharne yaad rahenge barson tak
is basti mein husn hai jitna paband-e-ashaar hua
Ghazal
Minaron se upar nikla diwaron se par hua
Shahid Meer