mez pe chehra zulfen kaghaz par
dekh raha hai hairat se daftar
chehre par shikwa karti aankhen
aankhon mein aadha KHali saghar
gal pe tin lakiren aansu ki
kanon mein hire ke do kankar
baaton mein mausiqi jaisi tal
saDhe sat aur pandrah ka chakkar
ab to ghar se bahar jaane do
chipak gaya hai khiDki par manzar
uryani ki baat nahin is mein
phulon ko daman ki kahan KHabar
afsana to nahin hayat meri
ek ghazal thi jis ka pair na sar
is ummid mein ghas pe leTa hun
koi sitara dega teri KHabar
apne pap to dho Dale hum ne
kaise dhoen pani ki chadar
KHwabon mein shatranj ke chau-KHane
bina zor ke paidal jae kidhar
jab dekha ki KHair nahin milni
chhoD diya ummid ne mera dar
kar-e-duniya se kya pana hai
ret bhari hai miTTi ke andar
kaTa to donon mar jaenge
juDe hue bachche hain KHair aur shar
Ghazal
Mez pe chehra zulfen kaghaz par
Shahnawaz Zaidi