meri wahshat ka tere shahr mein charcha hoga
ab mujhe dekh ke shayad tujhe dhoka hoga
saf rasta hai chale aao su-e-dida-o-dil
aql ki rah se aaoge to phera hoga
kaun samjhega bhala husn-e-gurezan ki ada
mere isa ne mera haal na puchha hoga
wajh-e-be-rangi-e-har-sham-o-sahar kya hogi
main ne shayad tujhe har rang mein dekha hoga
ab kahin tu hi Dubowe hamein ai mauj-e-sarab
warna phir shikwa-e-payabi-e-dariya hoga
koi tadbir bata ai dil-e-azar-pasand
us ko ji-jaan se bhulane mein to arsa hoga
husn ki KHalwat-e-sada bhi hai sad-bazm-taraaz
ishq mahfil mein bhi hoga to akela hoga
jhuTpuTa chhaya hai kaun aaya hai darwaze par
dekhna 'shaz' koi subh ka bhula hoga
Ghazal
Meri wahshat ka tere shahr mein charcha hoga
Shaz Tamkanat