meri wahshat ka jo afsana banaya hota
sunne walon ko bhi diwana banaya hota
un ke lane ki na sujhi tujhe qasid tadbir
jhuT sach koi to afsana banaya hota
dekhte tum ki sanwar jate na gesu kaise
meri palkon ka agar shana banaya hota
mar ke bhi ruh na pine ko tarasti saqi
meri miTTi se jo paimana banaya hota
tum ne zulfon ko bana kar hamein diwana kiya
kya bigaDta tha tumhaara na banaya hota
dil jo waiz ka banaya tha ilahi patthar
kash sang-e-dar-e-mai-KHana banaya hota
dil-e-wahshi jo chhuTa mujh se bahut KHub hua
warna ab tak mujhe diwana banaya hota
wusat-e-dil jo koi pir-e-mughan dikhlaya
ek ek jam ko mai-KHana banaya hota
munh se aanchal jo haTata wo sar-e-bazm 'jalil'
ba-KHuda shama ko parwana banaya hota
Ghazal
Meri wahshat ka jo afsana banaya hota
Jaleel Manikpuri