اردو हिंदी
Meri turbat par chaDhane DhunDta hai kis ke phul | Shaahi Shayari
meri turbat par chaDhane DhunDta hai kis ke phul

Ghazal

Meri turbat par chaDhane DhunDta hai kis ke phul

Shah Naseer

;

meri turbat par chaDhane DhunDta hai kis ke phul
teri aankhon ka hun kushta rakh de do nargis ke phul

ek din ho jaunga tere gale ka haar main
sunghne ko mat liya kar hath mein jis tis ke phul

bistar-e-gul par jo tu ne karwaTen lin raat ko
itr-agin ho gae ai gul-badan sab pis ke phul

wasl-e-mahwash ka dila muzhda hamein de hai charagh
jhaDte hain har dam shab-e-hijran mein munh se is ke phul

kuchh KHabar bhi hai tujhe chal fatiha ke waste
aaj hain ai shoKH tere aashiq-e-muflis ke phul

aur hi kuchh rang hai sine ke daghon ka mere
is rawish ke hain kahan tere sipar par mis ke phul

tu hai wo jo mahr-o-mah sham-o-sahar tujh par se war
sim-o-zar ke phenkte hain bich mein majlis ke phul

kya nawa-sanji karen ai ham-safiran-e-chaman
aa gai fasl-e-KHizan gulshan se sare khiske phul

hain mah o KHurshid jo sham o sahar tujh par se war
sim o zar ke phenkte hain bich mein majlis ke phul

kis ne sikhlai hai tujh ko ye rawish raftar ki
miT gae qalin ke jo tere qadam se ghis ke phul

phuljhaDi se kam nahin mizhgan-e-ashk-afshan teri
motiya ke dekhna jhaDte hain munh se is ke phul

rang-e-KHub-o-zisht mein kyun farq samjhe hai 'nasir'
KHar bhi tu hai usi ka hain banae jis ke phul