اردو हिंदी
Meri taqdir muafiq na thi tadbir ke sath | Shaahi Shayari
meri taqdir muafiq na thi tadbir ke sath

Ghazal

Meri taqdir muafiq na thi tadbir ke sath

Akbar Allahabadi

;

meri taqdir muafiq na thi tadbir ke sath
khul gai aankh nigahban ki bhi zanjir ke sath

khul gaya mushaf-e-ruKHsar-e-butan-e-maghrib
ho gae shaiKH bhi hazir nai tafsir ke sath

na-tawani meri dekhi to musawwir ne kaha
Dar hai tum bhi kahin khinch aao na taswir ke sath

ho gaya tair-e-dil said-e-nigah-e-be-qasd
sai-e-bazu ki yahan shart na thi tir ke sath

lahza lahza hai taraqqi pe tera husn-o-jamal
jis ko shak ho tujhe dekhe teri taswir ke sath

baad sayyad ke main college ka karun kya darshan
ab mohabbat na rahi is but-e-be-pir ke sath

main hun kya chiz jo us tarz pe jaun 'akbar'
'nasiKH' o 'zauq' bhi jab chal na sake 'mir' ke sath