اردو हिंदी
Meri taqdir mein jalna hai to jal jaunga | Shaahi Shayari
meri taqdir mein jalna hai to jal jaunga

Ghazal

Meri taqdir mein jalna hai to jal jaunga

Sahir Ludhianvi

;

meri taqdir mein jalna hai to jal jaunga
tera wada to nahin hun jo badal jaunga

soz bhar do mere sapne mein gham-e-ulfat ka
main koi mom nahin hun jo pighal jaunga

dard kahta hai ye ghabra ke shab-e-furqat mein
aah ban kar tere pahlu se nikal jaunga

mujh ko samjhao na 'sahir' main ek din KHud hi
Thokaren kha ke mohabbat mein sambhal jaunga