اردو हिंदी
Meri taKHliq hui jis ki tag-o-taz ke sath | Shaahi Shayari
meri taKHliq hui jis ki tag-o-taz ke sath

Ghazal

Meri taKHliq hui jis ki tag-o-taz ke sath

Khalid Shirazi

;

meri taKHliq hui jis ki tag-o-taz ke sath
wahi zarra mujhe takta hai baDe naz ke sath

jurm ke baad khula dil pe dar-e-KHauf-e-saza
zehan bedar hua subah ke aaghaz ke sath

main ne bhi toD diya KHak ki KHushbu ka tilism
kho gaya main bhi KHalaon mein baDe raaz ke sath

phir meri rah mein hail hai wahi koh-e-sukut
main ne kaTa tha jise tesha-e-awaz ke sath

DhunDhti phirti hai kirdar ko tamsil-e-gunah
rat-jage KHatm hue 'KHalid'-e-shiraaz ke sath