اردو हिंदी
Meri tarif kare ya mujhe bad-nam kare | Shaahi Shayari
meri tarif kare ya mujhe bad-nam kare

Ghazal

Meri tarif kare ya mujhe bad-nam kare

Maqbool Aamir

;

meri tarif kare ya mujhe bad-nam kare
jis ne jo baat bhi karni hai sar-e-am kare

zaKHm par waqt ka marham to laga deti hai
aur kya is ke siwa gardish-e-ayyam kare

mohtasib se main akela hi nimaT sakta hun
jis ne jo jurm kiya hai wo mere nam kare

wo meri soch se KHaif hai to us se kahna
mujh mein uDte hue tair ko tah-e-dam kare

kaun aaega pae-pursish-e-ahwal yahan
kis ki KHatir koi tazin-e-dar-o-baam kare

mujh ko bhi ho meri auqat ka kuchh andaza
koi to surat-e-yusuf mujhe nilam kare