meri surat saya-e-diwar-o-dar mein kaun hai
ai junun! mere siwa ye mere ghar mein kaun hai
Thik hai ai zabt-e-gham aansu koi Tapka nahin
par ye dil se aankh tak paiham safar mein kaun hai
wo to kab ka apni manzil par pahunch kar so chuka
chand kya jaane ki rah-e-pur-KHatar mein kaun hai
main usi surat ka diwana hun par ai zindagi
surat-e-yak-umr hael sang-o-sar mein kaun hai
KHak chhanwati hai ye raaton ko kis ki justuju
chandni ki tarah phaila dasht-o-dar mein kaun hai
ek chehra mustaqil ashkon ke aaine mein hai
kuchh bata ai umr-e-gham aaKHir nazar mein kaun hai
panw mein lipTi hui hai sab ke zanjir-e-ana
sab musafir hain yahan lekin safar mein kaun hai
naghma-e-jaan sunne walo! ye takalluf ta-ba-kai
Dha ke ye diwar bhi dekho ki ghar mein kaun hai
Ghazal
Meri surat saya-e-diwar-o-dar mein kaun hai
Tauseef Tabassum