meri soch mujhe kis rutbe par le aai
daira-e-hasti ek nuqte par le aai
jab duniya ko main ne kor-e-nazar Thahraya
meri aankhen apne chehre par le aai
main to ek sidhi pagDanDi par nikla tha
pagDanDi mujh ko chaurahe par le aai
yun mahsus hua apni gahrai mein ja kar
jaise koi mauj kinare par le aai
sahra mein bhi diwaren si phand raha hun
binai kis andhe raste par le aai
main ne noch ke phenkin jo shiknen chadar se
wo sab shiknen duniya mathe par le aai
kahkashan ke KHwab 'muzaffar' dekh raha tha
aur bedari ret ke Tile par le aai

Ghazal
Meri soch mujhe kis rutbe par le aai
Muzaffar Warsi