meri si tu ne gul se na gar ai saba kahi
main bhi laga dun aag gulistan ko tu sahi
go subh dur hai shab-e-hijran ki lek tu
apni taraf se tu na kar ai nala-go tahi
zalim phira mizaj na tera ghurur se
insaf kar tu main teri kya kya jafa sahi
latmon se bahr-e-husn ke hai zulf ka ye rang
lahron mein jaise phirti ho nagin bahi bahi
allah-re roab-e-husn ki us but ke samne
aai jo baat dil se zaban par wahin rahi
hum us fariq mein nahin wo aur log hain
duniya ke nek-o-bad se jo rakhte hain aagahi
sad-afrin ki bahr mein 'sauda' ki 'mushafi'
ek tu ne aab-dar ghazal aur bhi kahi
Ghazal
Meri si tu ne gul se na gar ai saba kahi
Mushafi Ghulam Hamdani