اردو हिंदी
Meri sham-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai | Shaahi Shayari
meri sham-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai

Ghazal

Meri sham-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai

Muneer Shikohabadi

;

meri sham-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai
dagh sine ke chaman mein gul hai gul mein KHak hai

dagh-e-dil ko KHaksaron ke lagaya tu ne munh
ghuncha-e-tang-e-dahan mein gul hai gul mein KHak hai

baad har din dagh hai teri kudurat ka mujhe
sahn-e-daman-e-kafan mein gul hai gul mein KHak hai

ya mukaddar ho ke Duba hai mera dil ai pari
ya teri chah-e-zaqan mein gul hai gul mein KHak hai

gard-e-ghurbat se bhari hai mere maskan ki bahaar
daman-e-subh-e-watan mein gul hai gul mein KHak hai

daghdaron ne kudurat se buna un ka palang
sumbul-e-mauj-e-rasan mein gul hai gul mein KHak hai

wahshi-e-gesu ne dagha hath uDae gard-e-gham
shaKH-e-ahu-e-KHutan mein gul hai gul mein KHak hai

dagh chhalle ka sarape mein kudurat-za hua
gul-ruKHon naKHl-e-badan mein gul hai gul mein KHak hai

ban gaya hai shisha-e-saat magar fanus-e-shama
aks shoale ka lagan mein gul hai gul mein KHak hai

sagaron ki phul pine se hui miTTi KHarab
jam-e-mai bagh-e-suKHan mein gul hai gul mein KHak hai

gard-e-zulmat Dali lale par KHizan ne ai falak
chand ke badle gahan mein gul hai gul mein KHak hai

baalon mein chhup kar kiran phul un ka miTTi ho gaya
afai-e-gesu ke phan mein gul hai gul mein KHak hai

dagh de kar malte hain ye shama-ru miTTi ka itr
raKHt-e-ahl-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai

unsur-e-KHaki hua barbaad ahl-e-dagh ka
in dinon wahshat ke ban mein gul hai gul mein KHak hai

zaKHm-e-sar par Dalta hun un buton ki gard-e-rah
ab kulah-e-barahman mein gul hai gul mein KHak hai

phul pi pi kar mukaddar ho raha hai wo sabih
dekh lo naKHl-e-saman mein gul hai gul mein KHak hai

hai mukaddar nur-e-mehr us rashk-e-gul ke hijr mein
gulshan-e-charKH-e-kuhan mein gul hai gul mein KHak hai

mere dil mein dagh hai har dagh mein hai gard-e-gham
andalibo is chaman mein gul hai gul mein KHak hai

parde mein hai phul sa munh aur munh pe gard-e-KHat
is sahar ke pairahan mein gul hai gul mein KHak hai

mathe par hai dagh-e-sajda dagh mein gard-e-sujud
KHatt-e-qismat ki shikan mein gul hai gul mein KHak hai

gard-e-kulfat lae hai fasl-e-bahaari apne sath
shaKH-e-har-naKHl-e-chaman mein gul hai gul mein KHak hai

kya kahun is misra-e-farmaishi mein ai 'munir'
hai hiran gul mein hiran mein gul hai gul mein KHak hai