meri ruswai ka yun jashn manaya tum ne
ret par nam likha aur miTaya tum ne
fikr ki dhup mein jhulsi hun kai sadiyon tak
main ne paya hai tumhein mujh ko na paya tum ne
main ne jab chaha bhula dun teri yaadon ko tabhi
pyar ka git mujhe aa ke sunaya tum ne
ishq ne sudh hi bhula di thi mere tan man ki
TuT hi jati magar mujh ko bachaya tum ne
waqt ne mujh se usi waqt hansi chhini hai
jab bhi roti hui aankhon ko hansaya tum ne
ehtiyaton ne mere paon wahin rok liye
jab meri samt kabhi hath baDhaya tum ne
Ghazal
Meri ruswai ka yun jashn manaya tumne
Siya sachdev

