meri rifat par jo hairan hai to hairani nahin
tu abhi insan ki azmat ka irfani nahin
aur ye kya hai zabt jo soz-e-pinhani nahin
aag raushan dil mein hai chehre pe tabani nahin
phul ke patte bikhar kar ek fasana kah gae
jis ki ho tartib mumkin wo pareshani nahin
mujh par ek ilzam hai qaid-e-qafas wo bhi ghalat
jis ki niyat mein ho aazadi wo zindani nahin
josh-e-girya us par aahon ki ye sailabi hawa
kaun si hai mauj-e-ashk aisi jo tufani nahin
raaz ye mujh par shikast-e-ghuncha-o-gul se khula
husn bhi to be-niyaz-e-chaak-damani nahin
KHwahishon ke sath apne nafs ko bhi kar fana
zindagi mein is se behtar koi qurbani nahin
ittifaqat-e-mohabbat ne ye sabit kar diya
wo bhi peshani mein hai shayad jo pesh aani nahin
daulat-e-kaunain se bhi hai giran-tar ek sukun
dil ho mustaghni to parwa-e-jahanbani nahin
jawedani hun main ai duniya parastish kar meri
ye musallam hai ki tu fani hai main fani nahin
hauslon ke sath tai kar rah-e-dushwar-e-hayat
hal to hongi mushkilen lekin ba-asani nahin
dekh ai saqi qanaat ki tarab-afshaniyan
aab-e-kausar hai kaTore mein mere pani nahin
hai meri nazron mein anjam-e-bahaar-e-gulsitan
ab mere sar mein hawa-e-gul badamani nahin
bah chuka hai KHun pani ki tarah insan ka
mo'tadil phir bhi mizaj-e-alam-fani nahin
kar na ai kunj-e-lahad zahmat mere aaram ki
main mujahid hun mujhe KHu-e-tan-asani nahin
kar raha hun nazm ai 'simab' quran-e-majid
aur ye kya hai agar taid-e-yazdani nahin
Ghazal
Meri rifat par jo hairan hai to hairani nahin
Seemab Akbarabadi

