اردو हिंदी
Meri raaton mein phir ek bar sitare chamke | Shaahi Shayari
meri raaton mein phir ek bar sitare chamke

Ghazal

Meri raaton mein phir ek bar sitare chamke

Syed Mazhar Gilani

;

meri raaton mein phir ek bar sitare chamke
meri aankhon mein dil-awez nazare chamke

phir fazaon mein machalta hua pata hun shabab
phir bujhi aag mein do-chaar sharare chamke

phir lab-e-baam chamakti hui aankhen dekhin
phir gunahon ke hawas-kar ishaare chamke

jin sitaron ki chamak ne mujhe taDpaya tha
meri taqdir pe wo rashk ke mare chamke

phir surahi ne iradon ko jawani baKHshi
KHushk saghar ke phir ek bar kinare chamke

chand itna na chamakta kabhi dekha saqi
mai-kade mein jo subu raat tumhaare chamke

jin sitaron ki chamak mand paDi thi 'mazhar'
wo sitare meri aankhon ke sahaare chamke