meri rahon mein kai marhale dushwar aae
dair aaya haram aaya rasan-o-dar aae
jalwa-gahon mein abhi sham-e-yaqin jalne do
kya ajab hai jo koi talib-e-didar aae
mahfil-e-naz ke aadab hain sab par lazim
koi diwana yahan aae ki hoshyar aae
ishq mein wusat-e-kaunain se shaista guzar
kya KHabar hai ki kahan jalwa-gah-e-yar aae
saz-e-hasti mein wo soz-e-abadi paida kar
dil ke TuTe hue taron se bhi jhankar aae
mauj-o-sahil mah-o-anjum gul-o-lala dekhe
jab kahin tujh ko na paya to sar-e-dar aae
lazzat-e-dard nahin sab ke muqaddar mein 'qamar'
jis ke hissa mein bhi ye daulat-e-bedar aae
Ghazal
Meri rahon mein kai marhale dushwar aae
Qamar Moradabadi