meri nazar nazar mein hain manzar jale hue
ubhrenge harf harf se paikar jale hue
shoalon ka raqs aab-e-rawan tak pahunch gaya
dariya pe bah ke aae hain chhappar jale hue
har zarra is zamin ka lau de raha hai aaj
kal aap ko milenge samundar jale hue
mazlum-o-be-qusur jinhen kah rahe hain aap
nikle hain un ke ghar se bhi KHanjar jale hue
aankhon ki is jalan se na mil paegi najat
dekhe hain meri aankhon ne manzar jale hue
Darne lage hain aag se aatish-parast bhi
dekhe hain jab se chaaron taraf sar jale hue
be-KHwab wahshaton ko sulane ke waste
aarasta hain aaj bhi bistar jale hue
Ghazal
Meri nazar nazar mein hain manzar jale hue
Mushir Jhanjhanvi