meri nazar ke liye koi riwayat na thi
sab ki tarah dekhna jabr tha aadat na thi
aisa laga jaise main manzar-e-manus tha
us ki nigahon mein kal shoKHi-e-hairat na thi
mere shab o roz the meri sadi ki tarah
kaun sa lamha tha wo jis mein qayamat na thi
pairahan-e-jism-o-jaan zaKHm-e-sitam tha tamam
kaisa sitam-gar tha wo koi jarahat na thi
kab kisi diwar se sail-e-tamanna ruka
garm lahu ki kabhi koi shariat na thi
kitne subuk-dil hue tujh se bichhaDne ke baad
un se bhi milna paDa jin se mohabbat na thi
Ghazal
Meri nazar ke liye koi riwayat na thi
Anwar Siddiqui