اردو हिंदी
Meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein | Shaahi Shayari
meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein

Ghazal

Meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein

Allama Iqbal

;

meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein
ghulghula-ha-e-al-aman but-kada-e-sifat mein

hur o farishta hain asir mere taKHaiyyulat mein
meri nigah se KHalal teri tajalliyat mein

garche hai meri justuju dair o haram ki naqsha-band
meri fughan se rustaKHez kaba o somnat mein

gah meri nigah-e-tez chir gai dil-e-wajud
gah ulajh ke rah gai mere tawahhumat mein

tu ne ye kya ghazab kiya mujh ko bhi fash kar diya
main hi to ek raaz tha sina-e-kaenat mein