اردو हिंदी
Meri miTTi mein jab na tha patthar | Shaahi Shayari
meri miTTi mein jab na tha patthar

Ghazal

Meri miTTi mein jab na tha patthar

Dr. Azam

;

meri miTTi mein jab na tha patthar
kaise kah dun ki hai KHuda patthar

shoala-e-ishq ka asar tauba
mom jaisa pighal gaya patthar

jab bhi bazm-e-KHirad mein aaya main
aql par meri paD gaya patthar

gul bichhaun main tere qadmon mein
meri rahon mein tu bichha patthar

rah-e-haq mein yaqin tha hum par
sirf barsenge inT ya patthar

lad gaya jab shajar phalon se koi
us pe sab ne uTha diya patthar

log toDenge bar bar use
shisha-e-dil ko tu bana patthar

narm rassi se ghis na jae jo
mujh ko aisa nahin mila patthar

doston ke hadaf pe hai 'azam'
ab wo barsaen phul ya patthar