meri koi tarif nahin hai main waqfon waqfon mein hun
jaane kin lamhon mein nahin hun jaane kin lamhon mein hun
baqi hissa paDa hua hai jaane kis tariki mein
main bas utna hi zinda hun jis had tak lafzon mein hun
sanson ka aana jaana mere hone ki dalil nahin
do sanson ke bich KHala karne wale lamhon mein hun
muddat guzri ek ibaadat mein fariyaad guzari thi
main apni hi zat ke ghar mein na-jaez qabzon mein hun
wo uslub kahan se hasil ho jo mujh ko nazm kare
razmiyye ki ek katha chhoTi chhoTi bahron mein hun
Ghazal
Meri koi tarif nahin hai main waqfon waqfon mein hun
Farhat Ehsas