meri KHwahish na sahi tera irada hai zarur
saKHt mushkil hai ki tujh sa mujhe hona hai zarur
kaun sa ranj hua hosh nahin hai lekin
apne naKHun se hi khurcha hua sina hai zarur
ab wo pahli si fazaon mein kudurat na rahi
han meri aankh mein halka sa dhundlaka hai zarur
hum ko is daur ki tariKH to likhni hogi
ek chhoTa sa qalam hi sahi apna hai zarur
roab us lafz ka rahta hai musallat 'ashhar'
be-niyazi mein bhi mabud jo mera hai zarur
Ghazal
Meri KHwahish na sahi tera irada hai zarur
Iqbal Ashhar Qureshi