meri KHatir der na karna aur safar karte jaana
lekin chhoD ke jaane walo ek nazar karte jaana
hijr ki shab ke taro tum ko Dub to jaana hai lekin
mere dil par kya guzri hai un ko KHabar karte jaana
hum se dard ke maron ki muKHtari kya majburi kya
jina aur na marna lekin umr basar karte jaana
itna sukun itni KHamoshi kaise raat guzaren hum
jate jate mahfil-e-dil ko zer-o-zabar karte jaana
roti aankhen ya hanste lab aap bhi ek saudai hain
chup chup rahna aur tawaf-e-rahguzar karte jaana
aur zara chamka dena yaadon ke bhaDakte shoalon ko
ai gham-e-dauran ai gham-e-jaanan dil pe asar karte jaana
kis ko KHabar 'shahzad' ki un aankhon mein kaisa jadu hai
kahna aur na sunna lekin dil mein ghar karte jaana
Ghazal
Meri KHatir der na karna aur safar karte jaana
Shahzad Ahmad