meri izzat baDh gai ek pan mein
farq kya aaya tumhaari shan mein
un ko dekha to kaha yun kan mein
kyun KHalal Dala mere iman mein
aashiqi hai bahar-e-napaida-kanar
kashti-e-dil aa gai tufan mein
hai yahi pahchan baali umr ki
baaliyan wo do faqat hain kan mein
tere sadqe ke liye hazir hain sab
dur samundar mein jawahar kan mein
de ke dil us but ko apna kar liya
is tijarat mein nahin nuqsan mein
kya mai-e-gul-gun se raunaq ghaT gai
rang balki aa gaya iman mein
us but-e-kafir ko sajda kar liya
is se kya aaya KHalal iman mein
tum pari ka faKHr ho huron ka naz
kash hote firqa-e-insan mein
us ke ruKHsaron pe hai KHat ki numud
hashiya ye hai naya quran mein
gesu-e-pechan tere ruKHsar par
sura-e-wallail hai quran mein
aariz-e-taban pe hai KHat ki numud
habshiyon ki fauj ya iran mein
kah do pesh aaya kare achchhi tarah
chal na jae mujh mein aur darban mein
wo karen zulm aur tum lab par na lao
warna gustaKHi hai un ki shan mein
sunte sunte waizon se hajw-e-mai
zoaf sa kuchh aa gaya iman mein
yun kahunga wun kahunga tha KHayal
ru-ba-ru kuchh bhi na aaya dhyan mein
us ki qudrat se nahin 'parwin' baid
rai ko parbat bana de aan mein
Ghazal
Meri izzat baDh gai ek pan mein
Parveen Umm-e-Mushtaq

