meri hasti mein meri zist mein shamil hona
tujh ko ai husn mubarak ho mera dil hona
KHushk ho jaen jo aankhen to gham-e-furqat kya
chahiye aur bhi tar dida-e-bismil hona
us pe mushkil koi paD jae to aasan ho jae
hausla baKHshe jise kaam ka mushkil hona
la mera jam uTha apni surahi saqi
aaj hai gardish-e-dauran ke muqabil hona
ab kahe jao fasane meri gharqabi ke
mauj-e-tufan ko mere haq mein tha sahil hona
qais laila ki nazar se hi bana tha majnun
us ka achchha hai pas-parda-e-mahmil hona
mast ulfat hon mera nam hai diwana-e-husn
kaam hai hosh mein aana kabhi ghafil hona
kitni ummid se baDhte hain musafir ke qadam
qudrati hai gham-e-nakaami-e-manzil hona
aaj ke daur mein kam baat nahin hai ye 'falak'
ek fan mein kisi insan ka kaamil hona
Ghazal
Meri hasti mein meri zist mein shamil hona
Heera Lal Falak Dehlvi