meri hasti-e-haal hanste hain
mere din mah-o-sal hanste hain
pahle har-pal jo log hanste the
wo bhi ab KHal-KHal hanste hain
us ki hazir-jawab baaton se
mujh pe mere sawal hanste hain
dil bhi us pal bahak sa jata hai
jab sitamgar ke gal hanste hain
mere chhup-chhup ke dekhne pe wo
apne gesu sambhaal hanste hain
un ka rona bhi KHub rona hai
aur hansna kamal hanste hain
wo mere samne nahin hanste
waise sahab jamal hanste hain
main to hargiz kabhi nahin hansta
han mere KHadd-o-KHal hanste hain
mera dil jab bhi sher bunta hai
us pe mere KHayal hanste hain
han main pagal hun han main diwana
aao Dalen dhamal hanste hain
mangne ke liye hain phaile hue
mere hathon pe thaal hanste hain
yar aghyar sab barabar hain
sab hi de kar malal hanste hain
tu 'ali' kyun udas baiTha hai
gham ko dil se nikal hanste hain
Ghazal
Meri hasti-e-haal hanste hain
Ali Sarmad