meri biwi qabr mein leTi hai jis hangam se
wo bhi hai aaram se aur main bhi hun aaram se
kis tarah guzran hogi ab super aqwam se
mangti hain dam bhi wo banda-e-be-dam se
ghoDe nikle unT nikle motaren niklin magar
ek bhi aalim na nikla aalam-e-islam se
phir wo jeneral election mein bhi hoga kaamyab
wo jo hai maruf gul-ghoTu ke urf-e-am se
jaise sach kuchh bhi nahin jaise KHuda koi nahin
kis qadar ummiden wabasta hain uncle-sam se
jaane kya paiwand-e-adam se ye ab paida karen
aam aur amrud paida kar liya baadam se
din to bachta nazar aata nahin newyork mein
zulf hi apni bacha le jaiye hajjam se
sher ka hissa agar alfaz par rakkha gaya
khelna hai jam se aur wo bhi KHali jam se
ek hi paigham hai mera jawanan-e-aziz
nam pao ilm se aaram pao kaam se
husn nature ki ata azmat samar tahzib ka
munfarid hai misr apne nil aur ahram se
gar siyasat mein rahin aisi hi KHar-bazariyan
parliamenten KHaridi jaengi nilam se

Ghazal
Meri biwi qabr mein leTi hai jis hangam se
Syed Zameer Jafri