meri barbaadiyon ki ye taswir
gardish-e-waqt ki hai ek lakir
husn-e-tadbir ki nigahon se
dekh to apne baKHt ki tahrir
dur kar de dilon ki tariki
ai jamal-e-KHulus ki tanwir
tum samajhte ho jin ko mir-e-chaman
zulf-e-hirs-o-hawa ke hain wo asir
kha raha hun fareb-e-azadi
dekh kar panw ki nai zanjir
jhuTi tauqir ke liye akasr
bech dete hain log apna zamir
kal bhi aa jaega magar 'zaKHmi'
kitni dhundli hai aaj ki taswir
Ghazal
Meri barbaadiyon ki ye taswir
Zakhmi Hisari