اردو हिंदी
Meri arzani se mujhko wo nikalega magar | Shaahi Shayari
meri arzani se mujhko wo nikalega magar

Ghazal

Meri arzani se mujhko wo nikalega magar

Salim Saleem

;

meri arzani se mujh ko wo nikalega magar
apne upar ek din qurban kar dega mujhe

munjamid kar dega mujh mein aa ke wo sara lahu
dekhte hi dekhte be-jaan kar dega mujhe

kitna mushkil ho gaya hun hijr mein us ke so wo
mere pas aaega aur aasan kar dega mujhe

rafta rafta sari taswiren damakti jaengi
apne kamre ka wo aatish-dan kar dega mujhe

KHwab mein kya kuchh dikha laega wo aaina-ru
nind khulte hi magar hairan kar dega mujhe

ek qatre ki tarah hun us ki aankhon mein abhi
ab na Tapkunga to wo tufan kar dega mujhe