meri apnai hui qadron ne hi nocha mujhe
tu ne kis tahzib ke patthar se la bandha mujhe
main ne sahil par jala din maslahat ki kashtiyan
ab kisi ki bewafai ka nahin khaTka mujhe
dast-o-pa basta khaDa hun pyas ke sahraon mein
ai faraat-e-zindagi tu ne ye kya baKHsha mujhe
chand kirnen jo mere kase mein hain un ke ewaz
shab ke darwaze pe bhi dena paDa pahra mujhe
sathiyo tum sahilon par chain se soe raho
le hi jaega kahin bahta hua dariya mujhe
Ghazal
Meri apnai hui qadron ne hi nocha mujhe
Nisar Nasik