اردو हिंदी
Meri aankhon ko meri shakl dikha de koi | Shaahi Shayari
meri aankhon ko meri shakl dikha de koi

Ghazal

Meri aankhon ko meri shakl dikha de koi

Nazeer Qaisar

;

meri aankhon ko meri shakl dikha de koi
kash mujh ko mera ehsas dila de koi

gharaz is se nahin wo kaun hai kis bhes mein hai
main kahan par hun mujhe mera pata de koi

DhunDhta phirta hun yun apne hi qadmon ke nishan
jaise mujh ko meri nazron se chhupa de koi

dil ki taKHti sar-e-bazar liye phirta hun
kash is par teri taswir bana de koi

yun tujhe dekh ke chaunk uThti hain soi yaaden
jaise sannaTe mein aawaz laga de koi

dusri samt hain KHushbu ke ufuq ki subhen
rang ke kohar ki diwar gira de koi

sans roke hue baiThe hain makanon mein makin
jaane kab aur kise aa ke sada de koi