meri aahon se jila chahta hai
aasman radd-e-bala chahta hai
mujh ko to marzi-e-maula aula
aur dil sab ka bhala chahta hai
burrish-e-tegh na maili ho jae
ba-safa hun wo gila chahta hai
aaina ho gaya aaina-sarisht
yani wo mujh mein Dhala chahta hai
mauj-dar-mauj gulistan sara
mere daman pe khula chahta hai
boriye ko kaha saman-e-nashat
dekhte rahna jila chahta hai
mujh ko darwesh samajhne wala
KHush-gumani ka sila chahta hai
zanu-e-shauq se lag baiTha hai
aaina apni jila chahta hai
nahin pur-shauq koi is ke liye
'hasanat' ab to KHala chahta hai
Ghazal
Meri aahon se jila chahta hai
Abul Hasanat Haqqi