mere zehn-o-dil mein fikr-o-fan mein tha
nim ka wo peD jo aangan mein tha
jis pe likkha tha mera nam-o-nasab
qaid main miTTi ke us bartan mein tha
ek wo har dasht mein sairab tha
ek main pyasa har ek sawan mein tha
dekh kar bhi jo na dekha ja saka
aks-ara wo har ek darpan mein tha
kah na paya jaane kyun ek harf bhi
jaane kya us aadmi ke man mein tha
jis ko koi nam de sakta nahin
wo bulawa us parae-pan mein tha
aandhiyan sab kuchh uDa kar le gain
peD par patta na phal daman mein tha
ja-ba-ja qaus-e-quzah ki chhuT thi
ek tilism aabaad pairahan mein tha
chhin kar 'shadab' koi le gaya
ek anokha sukh jo ghar-angan mein tha
Ghazal
Mere zehn-o-dil mein fikr-o-fan mein tha
Aqeel Shadab