mere us ke darmiyan jo fasla rakkha gaya
us ke tai karne ko bhi ek rasta rakkha gaya
aks kho jaen agar halka sa kankar bhi gire
paniyon mein ek aisa aaina rakkha gaya
sab taqaze waise pure ho gae insaf ke
bas faqat mahfuz mera faisla rakkha gaya
na-rasai ki aziyyat hi rahi apna nasib
mil gai ruhen to jismon ko juda rakkha gaya
bhar ke aaankhon mein sulagte KHwab us ki yaad ke
mujh ko sote mein bhi 'haidar' jagta rakkha gaya
Ghazal
Mere uske darmiyan jo fasla rakkha gaya
Haidar Qureshi