اردو हिंदी
Mere tasawwuraat mein ab koi dusra nahin | Shaahi Shayari
mere tasawwuraat mein ab koi dusra nahin

Ghazal

Mere tasawwuraat mein ab koi dusra nahin

Ram Krishn Muztar

;

mere tasawwuraat mein ab koi dusra nahin
aap ko jaanta hun main ghair se wasta nahin

dekh tu ai nigah-e-dost kya tujhe dil diya nahin
kaun hai mujh se aashna tu agar aashna nahin

dil ko sukun kar ata jaan ko baKHsh de qarar
tere karam ki der hai dard ye la-dawa nahin

jis se na ho mera guzar rah nahin teri rahguzar
jis pe na mera sar jhuke wo tera naqsh-e-pa nahin

chashm-e-karam ka shukriya pursish-e-gham se faeda
kya meri bebasi ka haal aap par aaina nahin

ek hasin ahd ki yaad dila ke rah gai
un ki nazar ne dil se aaj aur to kuchh kaha nahin

kyun na karam ke waste aap se iltija karun
aap bataen kya mujhe aap ka aasra nahin

dil mein hai aks aap ka lab pe hai nam aap ka
aap ka 'muztar'-e-hazin aap ko bhulta nahin