mere sine par wo sar rakkhe hue sota raha
jaane kya thi baat main jaga kiya rota raha
shabnami mein dhup ki jaise watan ka KHwab tha
log ye samjhe main sabze par paDa sota raha
wadiyon mein gah utra aur kabhi parbat chaDha
bojh sa ek dil pe rakkha hai jise Dhota raha
gah pani gah shabnam aur kabhi KHunab se
ek hi tha dagh sine mein jise dhota raha
ek hawa-e-be-takan se aaKHirash murjha gaya
zindagi bhar jo mohabbat ke shajar bota raha
rone walon ne uTha rakkha tha ghar sar par magar
umr bhar ka jagne wala paDa sota raha
raat ki palkon pe taron ki tarah jaga kiya
subh ki aankhon mein shabnam ki tarah rota raha
raushni ko rang kar ke le gae jis raat log
koi saya mere kamre mein chhupa rota raha
Ghazal
Mere sine par wo sar rakkhe hue sota raha
Bashir Badr