mere sine mein kuchh zer-o-zabar hai
chaman mein ghaaliban waqt-e-sahar hai
chala jata hun aksar shahar walo
bayaban mein bhi mera ek ghar hai
jo chehre par nazar aati hai mere
meri rangat nahin gard-e-safar hai
koi tikTa nahin dil mein ziyaada
ye goya ghar nahin hai rahguzar hai
nazar aate hain bas aamal sab ko
mere ahwal par kis ki nazar hai
agar 'anwar-shuur' aisa kare to
nazar-andaz kar dena bashar hai
Ghazal
Mere sine mein kuchh zer-o-zabar hai
Anwar Shuoor

