اردو हिंदी
Mere sar ke waste aisi saza rakhta hai kaun | Shaahi Shayari
mere sar ke waste aisi saza rakhta hai kaun

Ghazal

Mere sar ke waste aisi saza rakhta hai kaun

Rafiquzzaman

;

mere sar ke waste aisi saza rakhta hai kaun
aastinon mein kahin KHanjar chhupa rakhta hai kaun

sabz shaKHon par sunahre phul se khilne lage
lab-ba-lab mausam-asar aisi dua rakhta hai kaun

ye jo meri zat mein baiTha hua hai main nahin
mujh ko mere ru-ba-ru mujh se juda rakhta hai kaun

jo bhi hai mera amal wo bhi amal mera nahin
phir bhi mere nam se sab kuchh likha rakhta hai kaun

jaane wala ja chuka munh moD ke barson hue
dil ki chaukhaT par magar ab bhi diya rakhta hai kaun

rakh diya dair-o-haram mein us ko rakhne ko 'rafiq'
dekhna meri tarah mera KHuda rakhta hai kaun