اردو हिंदी
Mere qadmon par nigun mera hi sar hai bhi to kya | Shaahi Shayari
mere qadmon par nigun mera hi sar hai bhi to kya

Ghazal

Mere qadmon par nigun mera hi sar hai bhi to kya

Shoaib Nizam

;

mere qadmon par nigun mera hi sar hai bhi to kya
mere sae ki ye sazish kargar hai bhi to kya

teri KHush-fahmi ke is aaina-e-sad-rang mein
aks chehre se siwa jazib-nazar hai bhi to kya

apne markaz se juda ho kar agar ye fikr-e-nau
daera-dar-daera garm-e-safar hai bhi to kya

zahr ki kohna riwayat hi ka Dar Das jaega
jism se lipTi ye nagin be-zarar hai bhi to kya

mehrban qatron ki barish abr-e-ainda mein hai
fasl-e-imkan ab ke mausam be-samar hai bhi to kya

sair-e-la-samti se bhi la-hasili ka lutf le
reg-e-sahra be-sada o be-samar hai bhi to kya