mere pyar ka qissa to har basti mein mashhur hai chand
tu kis dhun mein ghaltan pechan kis nashshe mein chur hai chand
teri KHanda-peshani mein kab tak farq na aaega
tu sadiyon se ahl-e-zamin ki KHidmat par mamur hai chand
ahl-e-nazar hans hans kar tujh ko mah-e-kaamil kahte hain!
tere dil ka dagh tujhi par tanz hai aur bharpur hai chand
tere ruKH par zardi chhai main ab tak mayus nahin
teri manzil pas aa pahunchi meri manzil dur hai chand
koi nahin hamraaz-e-tamanna koi nahin dam-saz-e-safar
rah-e-wafa mein tanha tanha chalne par majbur hai chand
ishq hai aur kanTon ka bistar husn hai aur phulon ki sej
tujh ko kaise samjhaun ye duniya ka dastur hai chand
teri tabish se raushan hain gul bhi aur virane bhi
kya tu bhi is hansti-gati duniya ka mazdur hai chand
Ghazal
Mere pyar ka qissa to har basti mein mashhur hai chand
Shabnam Rumani