mere mahbub tum ho yar tum ho dil-ruba tum ho
ye sab kuchh ho magar main kah nahin sakta ki kya tum ho
tumhaare nam se sab log mujh ko jaan jate hain
main wo khoi hui ek chiz hun jis ka pata tum ho
mohabbat ko hamari ek zamana ho gaya lekin
na tum samjhe ki kya main hun na main samjha ki kya tum ho
hamare dil ko bahr-e-gham ki kya taqat jo le baiThe
wo kashti Dub kab sakti hai jis ke na-KHuda tum ho
bichhaDna bhi tumhaara jite-ji ki maut hai goya
use kya KHak lutf-e-zindagi jis se juda tum ho
musibat ka talluq hum se kuchh bhi ho to rahat hai
mere dil ko KHuda wo dard de jis ki dawa tum ho
kahin is phuTe-munh se bewafa ka lafz nikla tha
bas ab tanon pe tane hain ki be-shak ba-wafa tum ho
qayamat aaegi ya aa gai is ki shikayat kya
qayamat kyun na ho jab fitna-e-roz-e-jaza tum ho
ulajh paDne mein kakul ho bigaDne mein muqaddar ho
palaTne mein zamana ho badalne mein hawa tum ho
wo kahte hain ye sari bewafai hai mohabbat ki
na 'muztar' be-wafa main hun na 'muztar' be-wafa tum ho

Ghazal
Mere mahbub tum ho yar tum ho dil-ruba tum ho
Muztar Khairabadi