mere mahbub mere dil ko jalaya na karo
saz chheDa na karo git sunaya na karo
jao aabaad karo apni tamannaon ko
mujh ko mahfil ka tamashai banaya na karo
meri rahon mein jo kanTe hain to kyun phul milen
mere daman ko ulajhne do chhuDaya na karo
tum ne achchha hi kiya sath hamara na diya
bujh chuke hain jo diye un ko jalaya na karo
mere jaisa koi pagal na kahin mil jae
tum kisi moD pe tanha kabhi jaya na karo
ye to duniya hai sabhi qism ke hain log yahan
har kisi ke liye tum aankh bichhaya na karo
zahr-e-gham pi ke bhi kuchh log jiya karte hain
un ko chheDa na karo un ko sataya na karo
Ghazal
Mere mahbub mere dil ko jalaya na karo
Shaukat Pardesi